kavitakosh4u.blogspot.com Headline Animator

Monday, May 30, 2011

Hamari Needen Bhi Ud Chuki Hain by Shabeena Adeeb


Hamari Needen Bhi Ud Chuki Hain
Sanam Bhi Karwat Badal Rahe Hain
Udhar Bhi Jaaga Hai Pyaar Dil Main
Idhar Bhi Armaan Machal Rahe Hain

Mila Hai Jis Din Se Pyaar Unka
Har Ek Shaye Hai Nisaar Mujh Par
Gulaab Kadmon Me Bichh Rahe Hain
Charaag Rahon Me Jal Rahe Hain

Tumhaari Aankho Me Pyaar Dekhu
Tum Aao To Mai Bahaar Dekhu
Tumhaare Hamraah Ghar Se Nikalu
Suna Hai Mausam Badal Rahe Hain

Hamari Saanse Thahar Gai To
Tumhaare Dil Ko Malaal Kyon Hai
Yahin Rahe Hain Yahin Rahenge
Bas Aaj Hum Ghar Badal Rahe Hain

Sharab Aisi Bhi Hai Jahaan Mein
Jo Hosh Main Aadmi Ko Laye
Woh Dekho Jaam-E To Pe Kar
Behekne Waale Sambhal Rahe Hain

Bahut Khoobsoorat Ho Tum - Ghazal


 
Bahut Khoobsoorat Ho Tum
Bahut Khoobsoorat Ho Tum
Agar Main Jo Kehdoon Mohobbat Hai Tumse
Tho Mujhko Khudaara Galat Mat Samajhna
Ke Meri Zaroorat Ho Tum
Bahut Koobsoorat Ho Tum
"
Ye Chehra Tumhaara Ke Din Hai Sunehra
Aur Uspar Ye Kaali Ghataaon Ka Pehra
Gulaabon Sa Naazuk Mehekta Badan Hai
Ye Lab Hain Tumhaare Ke Khilta Chaman Hai

Bikheron Na Zulfen, Tho Sharmaayen Baadal
Farishtey Bhi Dekhen Tho Hojaayen Paagal
Wo Pakeeza Moorath Ho Tum
Bahut Khoobsoorat Ho Tum
"
Hain Phoolon Ki Daali Ye Baahen Tumhaari
Hai Khaamosh Jaadu Nigaahen Tumhaari
Jo kaanten Hon Sab Apni Daaman Mein Bhar Loon
Bichaawoon Main Kaliyon Se Raahen Tumhaari

Nazar Se Zamaane Ki Khudko Bachaana
Kisi Aur Se Dekho Dil Na Lagaana
Ke Meri Amaanath Ho Tum
Bahut Khoobsurat Ho Tum
"
Jo Banke Kali Muskuraati Hai Aksar
Shab-e-Hijr Mein Wo Rulaati Hai Aksar
Jo Lamhon Hi Lamhon Mein Duniya Badalde
Jo Shaayar Ko Milti Hai Pehloo Ghazal Se

Chupaana Jo Paawoon Chupaa Hi Na Paawoon
Bhulaana Jo Paawoon Bhulaa Hi Na Paawoon
Wo Pehli Mohabbat Ho Tum
Bahut Khoobsurat Ho Tum
"
Agar Main Jo Kehdoon Mohobbat Hai Tumse
Tho Mujhko Kudaara Galat Mat Samajhna
Ke Meri Zaroorat Ho Tum
Bahut Koobsoorat Ho Tum

ai meri jaane gazal


O' Mere Aasmaa by Dr Kumar Vishvas, Sung by Zubeen


Baadariyo Gagariya Bhar De by Dr Kumar Vishvas


Hai Naman Unko- A Tribute to the REAL heroes. Dr Kumar Vishwas


KOI DEEWANA KEHTA HAI , KOI PAGAL SAMAJTA HAI


Dr. Kumar Vishwas in pilkhuwa 31 oct 2010

Dr. Kumar Vishwas in pilkhuwa 31 oct 2010 p1.flv